Kumar Vishwas

baat karni hai baat kaun kare

Kumar Vishwas

Hapur, Uttar pradesh, India

1970
baat karnī hai baat kaun kare
dard se do do haath kaun kare
ham sitāre tumheñ bulāte haiñ
chāñd na ho to raat kaun kare
ab tujhe rab kaheñ yā but samjheñ
ishq meñ zāt-pāt kaun kare
zindagī bhar kī the kamā.ī tum
is se zyāda zakāt kaun kare
Top Urdushayar.com