Zahid Fakhri

mohabbat ke safar mein koi bhi rasta nahin deta

Zahid Fakhri

1954
mohabbat ke safar meñ koī bhī rastā nahīñ detā
zamīñ vāqif nahīñ bantī falak saayā nahīñ detā
ḳhushī aur dukh ke mausam sab ke apne apne hote haiñ
kisī ko apne hisse kā koī lamha nahīñ detā
na jaane kaun hote haiñ jo baazū thaam lete haiñ
musībat meñ sahārā koī bhī apnā nahīñ detā
udāsī jis ke dil meñ ho usī kī niiñd uḌtī hai
kisī ko apnī āñkhoñ se koī sapnā nahīñ detā
uThānā ḳhud hī paḌtā hai thakā TuuTā badan 'faḳhrī'
ki jab tak saañs chaltī hai koī kandhā nahīñ detā
Top Urdushayar.com