Zahid Fakhri

main ki afsurda makanon mein rahun

Zahid Fakhri

1954
maiñ ki afsurda makānoñ meñ rahūñ
aaj bhī guzre zamānoñ meñ rahūñ
raat hai sar par koī sūraj nahīñ
kis liye phir sā.ebānoñ meñ rahūñ
kyā vasīla ho mire iz.hār kā
lafz huuñ gūñgī zabānoñ meñ rahūñ
kaun dekhegā yahāñ tāqat mirī
tiir huuñ TuuTī kamānoñ meñ rahūñ
bheḌiye haiñ chār-sū biphre hue
nīche utrūñ yā machānoñ meñ rahūñ
mere hone kā ho kuchh to fā.eda
huuñ havā to bādbānoñ meñ rahūñ
rābta rakhkhūñ zamīnoñ se magar
āsmānoñ kī uḌānoñ meñ rahūñ
ye bhī kyā 'faḳhrī' ki purzoñ kī tarah
raat din maiñ kār-ḳhānoñ meñ rahūñ
Top Urdushayar.com