Mohammad Amaan Nisar

bar-e-KHatir baghban ka ne dil-azar-e-chaman

Mohammad Amaan Nisar

bār-e-ḳhātir bāġhbāñ kā ne dil-āzār-e-chaman
sab se rahtā huuñ alag juuñ ḳhār-e-dīvār-e-chaman
ne dhuāñ dil se uThe yaaro na parvāna jale
ātish-e-ḳhāmosh huuñ mānind-e-gulzār-e-chaman
sirf ārā.ish ko huuñ gul-hā-e-kāġhaz kī misāl
bū kare mujh ko na koī aur na darkār-e-chaman
bulbul-e-rishta-bapā laTke hai shāḳh-e-gul se aaj
saḳht uljheḌe meñ hai yā-rab gunahgār-e-chaman
kyā hue maiñ kis se pūchhūñ haal un kā ai 'nisār'
ab nazar aate nahīñ vo nāz-bardār-e-chaman
Top Urdushayar.com