Mohammad Amaan Nisar

kuchh mujhe ab zindagi apni nazar aati nahin

Mohammad Amaan Nisar

kuchh mujhe ab zindagī apnī nazar aatī nahīñ
dosto muddat huī us kī ḳhabar aatī nahīñ
rū-ba-rū hote hī us ke aql ho jaatī hai gum
kuchh kā kuchh bikne lagūñ huuñ baat kar aatī nahīñ
us but-e-gumrāh ko har-chand samjhātā huuñ maiñ
kyā karūñ us kī tabī.at raah par aatī nahīñ
dil phañsā hai us ke bas meñ dekhiye kyā ho 'nisār'
nāganī jis zulf ke ohde se bar aatī nahīñ
Top Urdushayar.com