Mohammad Amaan Nisar

mere parwane ko ab muzhda-e-mayusi hai

Mohammad Amaan Nisar

mere parvāne ko ab muzhda-e-māyūsī hai
kyūñki vo parda-nashīñ sho.ala-e-fānūsī hai
sāqiyā dast-e-nigārīñ se tire miinā meñ
ham jo karte haiñ nazar jalva-e-tā.ūsī hai
jām-e-labrez chahaktā hai yad-e-baizā sā
yaar ke haath meñ kyā mo.ajaza-e-mūsī hai
martī us gul pe hai biktā hai jo kauḌī kauḌī
tujh pe martī nahīñ bulbul bhī kuchh ullū sī hai
ai sanam naala o afġhāñ se mire shaam o sahar
dil ke but-ḳhāne meñ ab naġhma-e-nāqūsī hai
dasht meñ chal ki har ik ḳhār-e-bayābāñ ko 'nisār'
juuñ hinā kab se tamannā-e-qadam-bosī hai
Top Urdushayar.com