karo sāmān jhūle kā ki ab barsāt aa.ī hai
ghaTā umDī hai bijlī ne chamak apnī dikhā.ī hai
agar jhūle tū mere dil ke jhūle meñ to ai zālim
rag-e-jāñ se tire jhūle ko maiñ rassī banā.ī hai
yahāñ abr-e-siyah meñ aaj tere surḳh joḌe ne
mujhe shaam o shafaq dast-o-garebāñ kar dikhā.ī hai
idhar hai kirmak-e-shab-tāb udhar jugnū gale kā hai
ye aalam dekh kar ye baat mere jī meñ aa.ī hai
ba-qaul-e-hazrat-e-'hātim' 'nisār' us vaqt yuuñ kahiye
tirī qudarat ke sadqe kyā tamāshe kī ḳhudā.ī hai