Mohammad Amaan Nisar

dekhe kahin mujhko to lab-e-baam se haT jae

Mohammad Amaan Nisar

dekhe kahīñ mujh ko to lab-e-bām se haT jaa.e
is vaz.a se us kī mirā dil kyūñki na phaT jaa.e
aa jaa.e kahīñ baad kā jhoñkā to mazā ho
zālim tire mukhḌe se dupaTTa jo ulaT jaa.e
ai nāla-e-jāñ-kāh bahut ho chukī bas kar
Dartā huuñ kahīñ niiñd kisī kī na uchaT jaa.e
dekhe kahīñ raste meñ khaḌā mujh ko to zid se
aatā ho idhar ko to udhar hī ko palaT jaa.e
chal baiTh 'nisār' ek taraf ḳhalq se hokar
niklegā vo ghar se pa kahīñ bhiiḌ to chhaT jaa.e
Top Urdushayar.com