kiina jo tire dil meñ bharā hai so kidhar jaa.e
mumkin hai kahīñ sañg ke pahlū se sharar jaa.e
taḌpūñ huuñ tamāshe ko mire haT ke khaḌā ho
dāman ko sambhāl apne mire ḳhuuñ se na bhar jaa.e
kahtā hai koī barq koī shola-e-ātish
ik dam tū Thahar jaa.e to ik baat Thahar jaa.e
mat muñh se 'nisār' apne ko ai jaan burā kah
hai sāhab-e-ġhairat kahīñ kuchh khā ke na mar jaa.e