kyā jāma-e-phul-kārī us gul kī phaban kā thā
jo taḳhta-e-dāman thā taḳhta vo chaman kā thā
ham aago hī samjhe the tum ghar ko sudhāroge
juuñ sub.h gajar baajā māthā vahīñ Thankā thā
miinā meñ na ho jalva vo bāda-e-gul-gūñ kā
jaame meñ jo kuchh yaaro rañg us ke badan kā thā
nargis ko kiyā aisā bīmār un āñkhoñ ne
Dhalkā hī nazar aayā gardan kā jo mankā thā