Mohammad Amaan Nisar

kis kafir-e-be-mehar se dil apna laga hai

Mohammad Amaan Nisar

kis kāfir-e-be-mehar se dil apnā lagā hai
jis meñ ki mohabbat na muravvat na vafā hai
be-kār kabhū raat ko bhī maiñ nahīñ rahtā
juuñ sham.a mujhe tā-ba-sahar mashq-e-fanā hai
kyā vaz.a bayāñ kījiye us shoḳh kī apne
laḌne ko qayāmat hai jhagaḌne ko balā hai
kyā qahr hai ham dekh ke ḳhush hote haiñ jis ko
so us kī ye sūrat hai ki sūrat se ḳhafā hai
juuñ juuñ nahīñ dekhe hai 'nisār' apne sanam ko
tuuñ tuuñ yahī kahtā hai ḳhudā jāniye kyā hai
Top Urdushayar.com