Mohammad Amaan Nisar

ashk hue hain abtar aise hum ko bahae dete hain

Mohammad Amaan Nisar

ashk hue haiñ abtar aise ham ko bahā.e dete haiñ
taḳhtī kaisī haif ye laḌke dho ke miTā.e dete haiñ
ek phañsī hī zulfoñ meñ ik chāh-e-zaqan haiñ Duubī hai
diida o dil meñ phuuT paḌī hai ghar ko Dubā.e dete haiñ
ḳhuun kareñge tum par apnā yaad rakho in bātoñ ko
aao na milnā ḳhuub nahīñ hai tum ko jatā.e dete haiñ
ḳhuub jo dekhā ḳhūbāñ ko kuchh ḳhuub na dekhā aise haiñ
ġhair se mil kar ḳhaak meñ ham ko muft milā.e dete haiñ
log 'nisār' ab ham se nāhaq un kā tafahhus karte haiñ
nām-o-nishāñ ham yaar kā apne koī batā.e dete haiñ
Top Urdushayar.com