vo jāntā hai us kī dalīloñ meñ dam nahīñ
phir bhī mubāhisoñ kā use shauq kam nahīñ
pūchho zarā ye kaun sī duniyā se aa.e haiñ
kuchh log kah rahe haiñ hameñ koī ġham nahīñ
kis kis ke ehtirām meñ sar ko jhukā.ūñ maiñ
mere alāva kaun yahāñ mohtaram nahīñ
miltā hai jin se rāh-navardoñ ko hausla
mere liye vo log bhī manzil se kam nahīñ
ham kārobār-e-dil ko kaheñ kis tarah ġhalat
hoñge bahut se log ḳhasāre meñ ham nahīñ