na.e mizāj kī tashkīl karnā chāhte haiñ
ham apne aap ko tabdīl karnā chāhte haiñ
qubūl tark-e-ta.alluq nahīñ hai lekin ham
tumhāre hukm kī ta.amīl karnā chāhte haiñ
ġhamoñ ke fiil na Dhā deñ kahīñ ye ka.aba-e-dil
so ham duā-e-abābīl karnā chāhte haiñ
hamāre jalne se miltī hai raushnī tum ko
to raushan ab yahī qindīl karnā chāhte haiñ
jab un kī koī bhī ta.abīr pā nahīñ sakte
havā meñ ḳhvāboñ ko tahlīl karnā chāhte haiñ
kitāb-e-zīst meñ mushkil hai bāb-e-ishq 'nadīm'
ham aise baab kī takmīl karnā chāhte haiñ