koī ahd-e-vafā bhūlā huā huuñ
nahīñ kuchh yaad kyā bhūlā huā huuñ
ḳhabar-gīrī karūñgā kyā kisī kī
maiñ ḳhud apnā patā bhūlā huā huuñ
agar māñgoñ to shāyad pā sakūñ kuchh
magar harf-e-duā bhūlā huā huuñ
ḳhud apne shahr hī meñ huuñ musāfir
maiñ ghar kā rāsta bhūlā huā huuñ
mujhe hai yaad jo tujh se sunā thā
ḳhud apnā hī kahā bhūlā huā huuñ
huuñ zinda is liye furqat meñ ab tak
ki nashsha vasl kā bhūlā huā huuñ
duā.eñ māñgtā huuñ sab kī ḳhātir
ḳhud apnā mudda.ā bhūlā huā huuñ
ġham-e-duniyā ġham-e-daurāñ ġham-e-dil
sabhī tere sivā bhūlā huā huuñ
'nadīm' us ke binā jīvan ye merā
jazā hai yā sazā bhūlā huā huuñ