Farhat Nadeem Humayun

hai wahi ek mere siwa aur main

Farhat Nadeem Humayun

hai vahī ek mere sivā aur maiñ
donoñ tanhā haiñ merā ḳhudā aur maiñ
hai ḳhulāsa mirī zindagī kā yahī
ek nākām harf-e-duā aur maiñ
tīrgī ḳhatm karne kī ummīd par
raat bhar hī jalā ik diyā aur maiñ
kaun jītegā is jañg meñ dekhiye
ho ga.e haiñ muqābil havā aur maiñ
aa.ī barkhā kī rut mere dukh bāñTne
ro.e phir saath mil kar ghaTā aur maiñ
ik taraf vo hai aur us ke saare sitam
ik taraf sabr kī intihā aur maiñ
kyuuñ sazā phir milegī kisī aur ko
haiñ gunahgār merī anā aur maiñ
tishnagī kī alāmāt ke taur par
do hī naam ā.eñge karbalā aur maiñ
Top Urdushayar.com