Farhat Nadeem Humayun

ai katib-e-taqdir ye taqdir mein likh de

Farhat Nadeem Humayun

ai kātib-e-taqdīr ye taqdīr meñ likh de
bas us kī mohabbat mirī jāgīr meñ likh de
de aisā junūñ jaisā diyā qais ko tū ne
mujh ko bhī isī halqa-e-zanjīr meñ likh de
paane kā use ḳhvāb jo dekhā hai hamesha
vo ḳhvāb hī bas ḳhvāb kī ta.abīr meñ likh de
dil aisā makāñ hai jo agar TuuT gayā to
lag jā.eñgī sadiyāñ na.ī ta.amīr meñ likh de
milnā hai agar ḳhud se to phir der na karnā
kho jaane kā Dar hotā hai tāḳhīr meñ likh de
sachchā.ī mirā jurm hai aur kār-e-vafā bhī
munsif hai to ye bhī mirī ta.azīr meñ likh de
likh de ki maiñ 'ġhālib' kā muqallid huuñ ġhazal meñ
phir naam mirā mo'taqid-e-'mīr' meñ likh de
Top Urdushayar.com