mohabbat kā ye ruḳh dekhā nahīñ thā
vo yuuñ badlegā ye sochā nahīñ thā
ajab hai sah ke zaḳhm-e-be-vafā.ī
ye dil kahtā hai vo aisā nahīñ thā
sabab koī to hai un nafratoñ kā
maiñ jhūTā thā ki vo sachchā nahīñ thā
na jaane kyuuñ mire hisse meñ aayā
vo dukh qismat meñ jo likkhā nahīñ thā
bahut tanhā.iyāñ thiiñ is se pahle
magar itnā bhī maiñ tanhā nahīñ thā
chalo kuchh to ghuTan kam ho ga.ī hai
bahut din ho ga.e royā nahīñ thā
kināre par khaḌā vo kah rahā hai
samundar is qadar gahrā nahīñ thā
sabhī kuchh hai 'nadīm' ab paas mere
bas ik vo shaḳhs jo merā nahīñ thā