haal meñ jiine kī tadbīr bhī ho saktī hai
zindagī maazī kī tasvīr bhī ho saktī hai
aas meñ us kī na har kaam adhūrā chhoḌo
us ke aane meñ to tāḳhīr bhī ho saktī hai
merā har ḳhvāb to bas ḳhvāb hī jaisā niklā
kyā kisī ḳhvāb kī ta.abīr bhī ho saktī hai
dil to merā thā magar ye mujhe ma.alūm na thā
ye kisī aur kī jāgīr bhī ho saktī hai
zindagī jalne lagī ātish-e-tanhā.ī meñ
jurm-e-ulfat kī ye ta.azīr bhī ho saktī hai
dil ko barbād nahīñ karnā ki is meñ phir se
ḳhvāhishoñ kī na.ī ta.amīr bhī ho saktī hai
thak gayā huuñ maiñ hikāyāt-e-junūñ likh likh kar
ye mirī āḳhirī tahrīr bhī ho saktī hai