ab zindagī ro ro ke guzāreñge nahīñ ham
ye bojh to hai bojh utāreñge nahīñ ham
tum ḳhud hī agar lauT ke aa jaao to behtar
hargiz tumheñ is baar pukāreñge nahīñ ham
ik ishq kī baazī hī to ham haare haiñ us se
ai rāh-e-talab hausla hāreñge nahīñ ham
ye gesū-e-hastī ke sañvarne kī ghaḌī hai
ab gesū-e-jānāñ ko sañvāreñge nahīñ ham
DhūñDeñge har ik chiiz meñ jiine kī umañgeñ
dil kī kisī ḳhvāhish ko bhī māreñge nahīñ ham