ye furqatoñ meñ lamha-e-visāl kaise aa gayā
mohabbatoñ meñ phir nayā ubaal kaise aa gayā
jise jahāñ ke mashġhaloñ meñ apnā hosh bhī na thā
achānak aaj use mirā ḳhayāl kaise aa gayā
abhī talak to mere saare zaḳhm the hare-bhare
yakāyak un ko kār-e-indimāl kaise aa gayā
judā.ī kā bas ek pal girāñ thā zindagī pe jab
to darmiyān bahr-e-māh-o-sāl kaise aa gayā
abhī talak thiiñ vaqt kī tanābeñ us ke haath meñ
adam farāġhatoñ kā phir savāl kaise aa gayā
mire zarā se dard par taḌap thī jis kī dīdanī
use sitamgarī kā ye kamāl kaise aa gayā
'nadīm' apnī chāhatoñ pe naaz thā tumheñ bahut
to phir tumhāre ishq par zavāl kaise aa gayā