Farhat Nadeem Humayun

tha pahla safar uski rifaqat bhi nai thi

Farhat Nadeem Humayun

thā pahlā safar us kī rifāqat bhī na.ī thī
raste bhī kaThin aur masāfat bhī na.ī thī
dil thā ki kisī taur bhī qaabū meñ nahīñ thā
rah rah ke dhaḌakne kī alāmat bhī na.ī thī
jab us ne kahā thā ki mujhe ishq hai tum se
āñkhoñ meñ jo aa.ī thī vo hairat bhī na.ī thī
sadiyoñ ke ta.alluq kā gumāñ hone lagā thā
jab ki mirī us shaḳhs se nisbat bhī na.ī thī
vāqif bhī nahīñ thā maiñ kisī sūd-o-ziyāñ se
us ishq ke saude meñ shirākat bhī na.ī thī
ḳhvāboñ ke bikhar jaane kā dhaḌkā bhī lagā thā
be-dārī-e-shab kī mujhe aadat bhī na.ī thī
ta.abīr kahāñ DhūñDne jātīñ mirī āñkheñ
un ko to kisī ḳhvāb kī zahmat bhī na.ī thī
dil vāqif-e-ādāb-e-mohabbat bhī nahīñ thā
duniyā ke rivājoñ se baġhāvat bhī na.ī thī
phir maiñ ki kisī nashe kā aadī bhī nahīñ thā
aur mere liye vasl kī lazzat bhī na.ī thī
yuuñ kār-e-junūñ karnā ḳhirad-mandoñ meñ rah kar
jo Daalī thī tum ne vo rivāyat bhī na.ī thī
Top Urdushayar.com