Inam Kabeer

jis qadar bhi hawa hai Khaali hai

Inam Kabeer

Narang Mandi, Punjab, Pakistan

1997
jis qadar bhī havā hai ḳhālī hai
ye jahāñ khokhlā hai ḳhālī hai
tum mujhe jis makāñ kā pūchhte ho
vo mire dost kā hai ḳhālī hai
qaht ne saare ghar ujaaḌ diye
ek jo bach gayā hai ḳhālī hai
ab jalāne ke kaam aa.egā
shāḳh par ghoñsla hai ḳhālī hai
ya.anī kam bolne meñ hikmat hai
aur jo chīḳhtā hai ḳhālī hai
Top Urdushayar.com