jamāl-e-yār ko dekhūñ kamāl-e-yār se pahle
maiñ ḳhushbū kī tarah mahkūñ ḳhayāl-e-yār se pahle
karishme husn ke sūraj sitāre phuul zāhir haiñ
magar maiñ kis taraf dekhūñ misāl-e-yār se pahle
duāoñ meñ mirī yuuñ to bahut tāsīr hai lekin
maiñ us se aur kyā māñgūñ savāl-e-yār se pahle
hai aadat duur rahne kī agar vo sāmne aa.e
maiñ shām-e-zindagī chāhūñ visāl-e-yār se pahle
sabhī mausam hoñ ḳhushiyoñ ke jahāñ us kā baserā ho
zamāne ko badal Dālūñ zavāl-e-yār se pahle