kaise rishtoñ ko sameTeñ ye bikharte hue log
TuuT jaate haiñ yahī faisla karte hue log
ġhaur se dekho hameñ, dekh ke ibrat hogī
aise hote haiñ bulandī se utarte hue log
ai ḳhudā ma.arka-e-lashkar-e-shab baaqī hai
aur mire saath haiñ parchhā.īñ se Darte hue log
mar ke dekheñge kabhī ham bhii, sunā hai ham ne
muskurāte haiñ tirī raah meñ marte hue log
qaid-ḳhānoñ ke añdheroñ meñ baḌe chain se haiñ
apne andar ke ujāloñ se guzarte hue log
kitne chehroñ pe sar-e-bazm kareñge tanqīd
aa.ina dekh ke tanhā.ī meñ Darte hue log
ḳhud-kushī karne pe āmāda o majbūr haiñ ab
zindagī! ye haiñ tire ishq meñ marte hue log
tum to be-vaj.h pareshān hue ho 'tāriq'
yūñhī pesh aate haiñ va.adoñ se mukarte hue log