ye aarzū thī use aa.ina banāte ham
aur ā.īne kī hifāzat meñ TuuT jaate ham
tamām umr bhaTakte rahe ye kahte hue
ki ghar banāte sajāte use bulāte ham
har aadmī vahāñ masrūf qahqahoñ meñ thā
ye āñsuoñ kī kahānī kise sunāte ham
bigāḌe baiThe the taqdīr apne hāthoñ se
hatheliyoñ kī lakīreñ kise dikhāte ham
ḳhudā ne itnā karam aur kar diyā hotā
ki jis ne zaḳhm diye us ko bhuul jaate ham
kuchh is sabab se bhī ye zaḳhm lā-davā Thahre
har ek shaḳhs kā ehsāñ nahīñ uThāte ham
tū apne ġham se hī ḳhālī kahāñ hai ai 'tāriq'
jo tere paas kabhī aa ke baiTh jaate ham