Tariq Qamar

usne ek bar bhi puchha nahin kaisa hun main

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
us ne ik baar bhī pūchhā nahīñ kaisā huuñ maiñ
ḳhud ko bhī jis ke liye haar ke baiThā huuñ maiñ
phuul hone kī sazā ḳhuub milī hai mujh ko
shāḳh se TuuT ke gul-dān meñ rakkhā huuñ maiñ
chaltā rahtā huuñ to lagtā hai koī saath meñ hai
thak ke baiThūñgā to yaad aa.egā tanhā huuñ maiñ
gum huā ḳhud meñ to ik nuqta-e-mauhūm huā
munkashif hote hī atrāf pe chhāyā huuñ maiñ
is salīqe se mujhe qatl kiyā hai us ne
ab bhī duniyā ye samajhtī hai ki zinda huuñ maiñ
phir achānak ye huā jiit ga.ī ye duniyā
maiñ samajhtā thā ki bas jītne vaalā huuñ maiñ
vo bhī rasman yahī pūchhegā ki kaise ho tum
maiñ bhī hañste hue kah dūñgā ki achchhā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com