Tariq Qamar

reaya zulm pe jab sar uThane lagti hai

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
re.āyā zulm pe jab sar uThāne lagtī hai
to eqtidār kī lau thartharāne lagtī hai
hamesha hotā huuñ koshish meñ bhuul jaane kī
vo yaad aur bhī shiddat se aane lagtī hai
haqīr kartī hai yuuñ bhī kabhī kabhī duniyā
mire zamīr kī qīmat lagāne lagtī hai
ye raushnā.ī jo phailī hai tere ashkoñ se
ye siskiyoñ kī sadā.eñ sunāne lagtī hai
ġhurūb hotā hai sūraj to mere siine se
ye kaisī rone kī āvāz aane lagtī hai
ye maslahat hai bujhāne kā jab irāda ho
havā diye kī kamar thapthapāne lagtī hai
mire darīche mire baam muskurāte haiñ
vo jab galī se mirī aane jaane lagtī hai
Top Urdushayar.com