Tariq Qamar

wo mere KHwab ki tabir to batae mujhe

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
vo mere ḳhvāb kī ta.abīr to batā.e mujhe
maiñ dhuup meñ huuñ magar DhūñDte haiñ saa.e mujhe
maiñ raushnī kī kisī saltanat kā shahzāda
magar charāġh mile haiñ bujhe-bujhā.e mujhe
vo jā chukā hai to naqsh-e-qadam bhī miT jaa.eñ
bichhaḌ gayā hai to ab yaad bhī na aa.e mujhe
kisī javāz kā honā hī kyā zarūrī hai
agar vo chhoḌnā chāhe to chhoḌ jaa.e mujhe
to motiyoñ meñ na tulne kā rañj ḳhatm huā
kisī kī aañkh ke aañsū ḳharīd laa.e mujhe
larazte kāñpte hāthoñ ko phir na ho zahmat
ḳhudā kare ki yahī zahr raas aa.e mujhe
maiñ chāhtā huuñ kabhī yuuñ bhī ho ki merī tarah
vo mujh ko DhūñDne nikle magar na paa.e mujhe
Top Urdushayar.com