āb-dar-āb mire saath safar karte haiñ
tishna-lab ḳhvāb mire saath safar karte haiñ
ik siyah-rāt ta.āqub meñ lagī rahtī hai
najm-o-mahtāb mire saath safar karte haiñ
dasht-e-ehsās tirī pyaas se maiñ haar gayā
varna sailāb mire saath safar karte haiñ
jānte haiñ ki mujhe niiñd nahīñ aatī hai
phir bhī kuchh ḳhvāb mire saath safar karte haiñ
ye batāte haiñ kahāñ baiThnā uThnā hai kahāñ
mere ādāb mire saath safar karte haiñ
ai samundar maiñ bachā.e hue phirtā huuñ tujhe
saare girdāb mire saath safar karte haiñ
sach to ye hai ki nahīñ ek bhī sachchā in meñ
jitne alqāb mire saath safar karte haiñ
ishq tanhā hai mire ālam-e-vahshat kā gavāh
tāq-o-mehrāb mire saath safar karte haiñ
kaun samjhegā in ashkoñ kī ibārat 'tāriq'
saare eraab mire saath safar karte haiñ