Inam Kabeer

wo aate-jate idhar dekhta zara sa hai

Inam Kabeer

Narang Mandi, Punjab, Pakistan

1997
vo āte-jāte idhar dekhtā zarā sā hai
nahīñ hai rabt magar rābta zarā sā hai
ye kūfiyoñ kī kahānī hai mere dost magar
yahāñ pe aap kā bhī tazkira zarā sā hai
ab us ko kāTne meñ jaane kitnī umr lage
hamāre darmiyāñ jo fāsla zarā sā hai
nigāh ek saḌak hai aur us kī manzil-e-dil
idhar se jaave to ye rāsta zarā sā hai
tujhe lagā ki tū kar legā sabr mere baġhair
tū kar ke dekh hī le tajraba zarā sā hai
idhar 'kabīr' bagūle havā ke tund-o-tez
aur is taraf ye akelā diyā zarā sā hai
Top Urdushayar.com