Tariq Qamar

panw jab ho gae patthar to sada di usne

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
paañv jab ho ga.e patthar to sadā dī us ne
faisla karne meñ ḳhud der lagā dī us ne
ab jo ā.ankhoñ meñ dhuāñ hai to shikāyat kaisī
yaar ḳhud hī to charāġhoñ ko havā dī us ne
ye alag baat ki vo merā ḳharīdār nahīñ
aa ke bāzār kī raunaq to baḌhā dī us ne
koī shikva na shikāyat na vazāhat koī
mez se bas mirī tasvīr haTā dī us ne
raat zanjīr kī āvāz jo kuchh tez huī
sub.h dīvār pe dīvār uThā dī us ne
sirf ik raah alag thī vo mire ishq kī raah
aur vo raah bhī duniyā se milā dī us ne
mere ham-rāh zarā der ko chal kar 'tāriq'
aur kuchh vaqt kī raftār baḌhā dī us ne
Top Urdushayar.com