Tariq Qamar

sare zaKHmon ko zaban mil gai gham bolte hain

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
saare zaḳhmoñ ko zabāñ mil ga.ī ġham bolte haiñ
ham magar zarf se majbūr haiñ kam bolte haiñ
kis qadar toḌ diyā hai use ḳhāmoshī ne
koī bole vo samajhtā hai ki ham bolte haiñ
kyā ajab log the guzre haiñ baḌī shaan ke saath
rāste chup haiñ magar naqsh-e-qadam bolte haiñ
vaqt vo hai ki ḳhudā ḳhair, ba-nām-e-īmāñ
dair vāloñ kī zabāñ ahl-e-haram bolte haiñ
kahte haiñ zarf kā saudā nahīñ karte ham log
kis qadar jhuuT ye sab ahl-e-qalam bolte haiñ
kahīñ rahte haiñ dar-o-bām nadāmat se ḳhamosh
bikhrī īñToñ meñ kahīñ jāh-o-hasham bolte haiñ
baat bhī karte haiñ ehsān jatāne kī tarah
kaise lahje meñ ye ab ahl-e-karam bolte haiñ
kaun ye pursish-e-ahvāl ko aayā 'tāriq'
lab haiñ ḳhāmosh magar dīda-e-nam bolte haiñ
Top Urdushayar.com