Tariq Qamar

baDi haweli ke taqsim jab ujale hue

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
baḌī havelī ke taqsīm jab ujāle hue
jo be-charāġh the vo bhī charāġh vaale hue
na ā.inoñ ko ḳhabar thī na dast-e-vahshat ko
kahāñ gireñge ye patthar jo haiñ uchhāle hue
jo taḳht-o-tāj pe tanqīd karte phirte haiñ
ye saare log haiñ darbār se nikāle hue
phir aaj bhuuk hamārā shikār kar legī
ki raat ho ga.ī dariyā meñ jaal Daale hue
unheñ ḳhabar hī nahīñ sar nahīñ haiñ shānoñ par
jo apne hāthoñ meñ dastār haiñ sambhāle hue
vo log bhī to kināroñ pe aa ke Duub ga.e
jo kah rahe the samundar haiñ sab khañgāle hue
kisī ke aane pe ab tāliyoñ kā shor kahāñ
vo haar suukh chuke haiñ gale meñ Daale hue
Top Urdushayar.com