Tariq Qamar

KHushk aaankhon se kahan tai ye masafat hogi

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
ḳhushk ā.ankhoñ se kahāñ tai ye masāfat hogī
dil ko samjhāyā thā ashkoñ kī zarūrat hogī
rañg mahloñ ke hasīñ ḳhvāb se bach kar rahnā
hai ḳhabar garm ki ḳhvāboñ kī tijārat hogī
apne ghar ḳhud hī pashemān sā lauT aayā huuñ
maiñ samajhtā thā use merī zarūrat hogī
merī tanhā.ī sukūñ dene lagī hai mujh ko
us se mat kahnā sunegā to nadāmat hogī
ḳhushk lab pyaas kī tasvīr ke andar rakh do
pyaas bujh jā.egī dariyā ko bhī hairat hogī
silsila jalte charāġhoñ kā chalo ḳhatm huā
tīrgī ḳhush hai havāoñ ko bhī rāhat hogī
kab sahar phūTegī koī tire zindānoñ se
kab rihā.ī mirī ai shahr-e-aziyyat hogī
jaise mumkin ho in ashkoñ ko bachāo 'tāriq'
shaam aa.ī to charāġhoñ kī zarūrat hogī
Top Urdushayar.com