ye roz-o-shab kī masāfat ye aanā jaanā mirā
bahut se shahroñ meñ bikhrā hai āb-o-dāna mirā
nahīñ pasand mire tañg-zehn qātil ko
ye harf-e-shukr ye ḳhanjar pe muskurānā mirā
ajiib radd-e-amal thā vo raushnī ke ḳhilāf
jalā jalā ke charāġhoñ ko ḳhud bujhānā mirā
ye chand log mire ās-pās baiThe hue
yahī kamā.ī hai merī yahī ḳhazāna mirā
kahāñ utārūñ janāze ko zindagī tere
ki is ke bojh se shal ho chukā hai shāna mirā
zarā sī baat pe ghar chhoḌ kar chale aanā
phir is ke ba.ad kabhī lauT kar na jaanā mirā
ye baat to mirī zanjīr-e-pā bhī jāntī hai
baḌe sharīf gharānoñ meñ thā gharānā mirā
mizāj apnā milā hī nahīñ zamāne se
na maiñ huā kabhī is kā na ye zamāna mirā
amīr-e-shahr ko bhī qatl kar gayā 'tāriq'
farāz-e-dār pe aa ke ye muskurānā mirā