Tariq Qamar

nazar nazar se mila kar kalam kar aaya

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
nazar nazar se milā kar kalām kar aayā
ġhulām shaah kī nīndeñ harām kar aayā
ka.ī charāġh havā ke asar meñ aa.e the
maiñ ek jugnū ko un kā imaam kar aayā
ye kis kī pyaas ke chhīñTe paḌe haiñ paanī par
ye kaun jabr kā qissa tamām kar aayā
utartī shaam ke saa.e bahut malūl se the
so ek shab maiñ vahāñ bhī qayām kar aayā
ye aur baat mire paañv kaT ga.e lekin
maiñ shāhrāh ko ik rāh-e-ām kar aayā
karūñ kalām kisī aur se maiñ kyā 'tāriq'
ki apne lafz to sab us ke naam kar aayā
Top Urdushayar.com