Tariq Qamar

kaun sa main jawaz dun surat-e-haal ke liye

Tariq Qamar

Sambhal, Uttar pradesh, India

1975
kaun sā maiñ javāz duuñ sūrat-e-hāl ke liye
dast-e-saḳhī meñ kuchh nahīñ dast-e-savāl ke liye
apnī tabāhiyoñ pe bhī khul ke na ro sake kabhī
vaqt hī kab milā hameñ rañj-o-malāl ke liye
us se maiñ is tarah milā jaise mujhe pata nahīñ
kartā hai kaun sāzisheñ mere zavāl ke liye
tum bhī khiñche khiñche se the ham bhī bache bache rahe
donoñ hī zimmedār haiñ shīshe meñ baal ke liye
phūloñ ko har ghaḌī rahī kāñToñ se ḳhuun kī talab
thoḌā surūr ke liye thoḌā, jamāl ke liye
ab ke baras kī fasl bhī pichhle lagān meñ ga.ī
suud meñ faaqe rah ga.e ab ke bhī saal ke liye
kah do ye shahryār se dār-o-rasan saje raheñ
zulm-o-sitam bhī shart haiñ jāh-o-jalāl ke liye
Top Urdushayar.com