vufūr-e-husn kī lazzat se TuuT jaate haiñ
kuchh aa.ine haiñ jo hairat se TuuT jaate haiñ
kisī jatan kī zarūrat nahīñ paḌegī tumheñ
ham aise log mohabbat se TuuT jaate haiñ
zamāna un ko bahut jald maar detā hai
jo log apnī rivāyat se TuuT jaate haiñ
ka.ī zamāne kī saḳhtī bhī jhel lete haiñ
ka.ī vajūd hifāzat se TuuT jaate haiñ
ham aise logoñ ko ishva-garī nahīñ aatī
ham ik zarā sī sharārat se TuuT jaate haiñ
'kabīr' jab sabhī dīvāreñ ḳhasta ho jaa.eñ
to phir makān marammat se TuuT jaate haiñ