koī ka.aba na kalīsā na sanam merā hai
ik na.e ḳhvāb kī dhartī pe qadam merā hai
saarī duniyā se hama-vaqt juḌā rahtā huuñ
rābta ḳhud se magar aaj bhī kam merā hai
dil ko ehsās ke us moḌ pe laa.ī hai hayāt
ab na merī hai ḳhushī aur na ġham merā hai
ab bhī Dartā huuñ har ik baat meñ likhne se 'faroġh'
tum ye kahte ho ki āzād qalam merā hai