Farogh Zaidi

dil ke andar ek zara si be-kali hai aaj bhi

Farogh Zaidi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1966
dil ke andar ik zarā sī be-kalī hai aaj bhī
jo mire afkār meñ ras gholtī hai aaj bhī
yuuñ to vo dīvār ban ke aa gayā hai darmiyāñ
merī apne aap se kuchh dostī hai aaj bhī
pattharoñ par chal ke sab ne paañv zaḳhmī kar liye
jabki us ke dar kā rasta maḳhmalī hai aaj bhī
ruḳh havāoñ kā badalnā jānte haiñ log jo
bas unhīñ ke har diye meñ raushnī hai aaj bhī
jin savāloñ kā nahīñ hotā koī musbat javāb
un savāloñ se ulajhtā aadmī hai aaj bhī
sīkhtā hai yuuñ to insāñ har tarīqe kī zabāñ
sab se āsāñ sab se behtar ḳhāmushī hai aaj bhī
jis ke chalte maiñ ne DhūñDe the ka.ī raste na.e
DhūñDhtī mujh ko vahī āvārgī hai aaj bhī
kitne Duube kitne ubhre kyā ḳhabar un ko 'faroġh'
bah rahī chup-chāp yuuñ hī har nadī hai aaj bhī
Top Urdushayar.com