ġham-e-hijrāñ se zarā yuuñ bhī nibhā.ī jaa.e
mahfil-e-ġhair sahī aaj sajā.ī jaa.e
iḳhtilāfāt kī buniyād hai gahrī lekin
is pe nafrat kī na dīvār uThā.ī jaa.e
pahle manzil kā ham apnī to ta.ayyun kar leñ
phir zamāne ko koī raah dikhā.ī jaa.e
mai ke baare meñ ḳhayālāt badal jā.eñge
hazrat-e-shaiḳh ko thoḌī sī pilā.ī jaa.e
sab ke a.amāl pe tanqīd hai sheva jis kā
baat kirdār pe us ke bhī uThā.ī jaa.e
yuuñ hī aqvām kī taqdīr sañvartī hai 'faroġh'
ne.amat-e-ilm pe kuchh baat chalā.ī jaa.e