Kaleem Haider Sharar

ana zada tha kahin par kahin par aan-zada

Kaleem Haider Sharar

anā zada thā kahīñ par kahīñ par ān-zada
zamīñ kī zad se nikalne tak āsamān-zada
yahāñ pe dasht o samundar kī baat mat karnā
hamāre shahr kā har shaḳhs hai makān-zada
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke mausam badalne vaale haiñ
hujūm vahm-o-tasavvur meñ hai gumān-zada
to bāl-o-par kī numā.ish pe harf aa jaatā
havā kā ruḳh na palaTtā agar uḌaan zada
hamāre ba.ad hameñ DhūñDne ke sab raste
hamārī ḳhaak meñ mil jā.eñge nishān-zada
bhañvar se Duub ke ubhrā to ye khulā mujh par
samundarī thiiñ havā.eñ maiñ bādbān-zada
sab apnā harf-e-ma.ānī banā rahe haiñ 'sharar'
ye lafz lafz to sadiyoñ se haiñ zabān-zada
Top Urdushayar.com