Kaleem Haider Sharar

iradon ki shikaston par sana-KHwani se pahchana

Kaleem Haider Sharar

irādoñ kī shikastoñ par sanā-ḳhvānī se pahchānā
ḳhudāyā maiñ ne tujh ko kitnī āsānī se pahchānā
ka.ī logoñ ne phalte phūlte peḌoñ se jaanā hai
magar maiñ ne tujhe sabze kī uryānī se pahchānā
mire sajde isī duniyā meñ mere kaam aa.e haiñ
mire qātil ne mujh ko merī peshānī se pahchānā
kabhī dekhā ki dil kaise sikuḌtā hai zarūrat par
kabhī duniyā ko paisoñ kī farāvānī se pahchānā
rag-o-pai meñ dar aatā hai 'sharar' har sher kā nashsha
ġhazal ko bārhā tartīb-e-jismānī se pahchānā
Top Urdushayar.com