haqīqat hai ise māneñ na māneñ ghaTtī baḌhtī haiñ
vo jhūTī hoñ ki sachchī dāstāneñ ghaTtī baḌhtī haiñ
kisī pahlū se koī tiir aa kar chaaT jā.egā
hazāroñ zāviye haiñ aur kamāneñ ghaTtī baḌhtī haiñ
falak-gīrī kī ḳhvāhish bāl-o-par ko raakh kar degī
havas-rāno parindoñ kī uḌāneñ ghaTtī baḌhtī haiñ
shikam-serī ne dastar-ḳhvān bichhvā.e haiñ logoñ se
mazāq-e-zā.iqa samho zabāneñ ghaTtī baḌhtī haiñ
bulandī aur pastī kā koī me.aar tai kar lo
zamīñ tañg ho rahī hai aur chaTāneñ ghaTtī baḌhtī haiñ
maiñ in chāñdī ke bāzāroñ pe apne daañt kyā gāḌūñ
chamaktī phīkī paḌtī sab dokāneñ ghaTtī baḌhtī haiñ
'sharar' maiñ aisī miTTī par asās-e-fan nahīñ rakhtā
rasānoñ kā bharosa kyā rasāneñ ghaTtī baḌhtī haiñ