Kaleem Haider Sharar

bahut tha naz jin par hum unhin rishton pe hanste hain

Kaleem Haider Sharar

bahut thā naaz jin par ham unhīñ rishtoñ pe hañste haiñ
hamīñ kyā rasm-e-duniyā hai ki sab apnoñ pe hañste haiñ
ham aise log dīvāroñ pe hañsne ke nahīñ qaa.il
magar jab jī meñ aatā hai to darvāzoñ pe hañste haiñ
divāna kar gayā āḳhir hameñ farzāna-pan apnā
ki jin logoñ ko ronā thā ham un logoñ pe hañste haiñ
ab is ko zindagī kahiye ki ahd-e-be-hisī kahiye
gharoñ meñ log rote haiñ magar rastoñ pe hañste haiñ
yahāñ apnā parāyā kuchh nahīñ ḳhushbū pe mat jaao
galoñ meñ paḌne vaale phuul guldastoñ pe hañste haiñ
samajhne vaale kyā kyā kuchh samajhte haiñ 'sharar'-sāhab
rag-e-ma.anī phaḌaktī hai to ham lafzoñ pe hañste haiñ
Top Urdushayar.com