zinda rahne kā bharam aa ke kahāñ par TuuTā
ik sitāra sā mirī shah-rag-e-jāñ par TuuTā
ġhair-mumkin hai mirī ḳhaak uḌātā koī
maiñ ki ḳhud apnī tabāhī ke nishāñ par TuuTā
sūd-dar-sūd muravvat mirī kaam aa.ī hai
jab maiñ iḳhlās kī mīzān-e-ziyāñ par TuuTā
zahr sā phail chukā hai mirī shiryānoñ meñ
kaun sā harf mirī nok-e-zabāñ par TuuTā
siskiyāñ bhar ke 'sharar' kaun vahāñ rotā thā
ḳhema-e-ḳhvāb sar-e-shām jahāñ par TuuTā