ġham bhī utnā nahīñ ki tum se kaheñ
aur chāra nahīñ ki tum se kaheñ
aaj ham be-karāñ samundar haiñ
tum vo dariyā nahīñ ki tum se kaheñ
yuuñ to marne se chain miltā hai
ye irāda nahīñ ki tum se kaheñ
niilī āñkhoñ kī chāñdnī ke liye
ab añdherā nahīñ ki tum se kaheñ
tum akele nahīñ rahe to kyā
ham bhī tanhā nahīñ ki tum se kaheñ
ab na vo ġham ki apne haath 'obaid'
shabnam-āsā nahīñ ki tum se kaheñ