dūsroñ kī aañkh le kar bhī pashemānī huī
ab bhī ye duniyā hameñ lagtī hai pahchānī huī
ashk kī be-rañg khetī muddatoñ meñ lahlahā.ī
pahle kitnā qaht thā ab kuchh farāvānī huī
ḳhud ko ham pahchān paa.e ye bahut achchhā huā
jism ke haijān meñ rūhoñ kī uryānī huī
maiñ to ik ḳhushbū kā jhoñkā tere dāman kā hī thā
bū-e-gul se aa milā kyuuñ tujh ko hairānī huī
us kā bāzār-e-havas meñ qadar-dāñ hī kaun thā
jins-e-dil kī phir yahāñ kyuuñ itnī arzānī huī