na.e safar meñ jo pichhle safar ke sāthī the
phir aa.e yaad ki us rahguzar ke sāthī the
kahūñ bhī kyā mujhe pal-bhar meñ jo bikher ga.e
havā ke jhoñke mirī umr-bhar ke sāthī the
sitāre TuuT ga.e os bhī bikhar sī ga.ī
yahī the jo mirī shām-o-sahar ke sāthī the
shafaq ke saath bahut der tak dikhā.ī diye
vo saare log jo bas rāt-bhar ke sāthī the
ye kaisī hijr kī shab vo bhī saath chhoḌ ga.e
jo chāñd-tāre mirī chashm-e-tar ke sāthī the